reh reh ke
ruk ruk ke
na jane kyon
main fir chalta hun
main fir nikalta hun
kya manzil ki talaash?
ya kuch paane ki aas hai?
ya koi anbujhi pyas hai?
ya fir kuch aur khaas hai?
na jane kyon
main chalta hun,
thakta hun,
rukta hun,
saans leta hun,
aur fir kadam badhaata hun,
manzil ki talash nah
kuch khaas nahi
koi pyas bhi nahi
na jane kyon main chalta hun
kal fir se aaj hua
aaj fir se kal hua
do din beet gaye
ik pal nahi jiya
chal raha hoon
thak raha hoon
hummm, man I cant write a poem. shame. send some +ve remarks.
